Aaj 2011 A.D(EESVI) /1432 A.H(HIJRI) Chal Rahi Hai Karbala Ki Jung : October 10, 680 A.D(EESVI)/Muharram10,61A.H(HIJRI) Mein Hui Thi Kaha jata hai ki Imam Husain(a.s) ki wife (biwi) Janab Shehr bano(a.s) Hindustan ke raja chandra gupta ki wife(biwi) mehr bano ki sagi sister(behen ) thi jo Hindustan ki tareek mein Chandra lekha ke naam se mashoor hai . shehr bano & mehr babo Iran ke ek raja ‘yajozard’ ki betiya thi jab hazrat Ali (a.s) ne iran fatah kiya tha to biwi shehr bano se Imam Husain a.s ka aqd kiya tha.jab karbala ki jung ka aagaaz hua tha aur Imam Husain a.s ne medina chore kar karbala ki janib badhe the tab biwi shehr bano ne apni badi behen mehr bano (Chandra lekha )ko apne shohar per musibat ki ittilla di thi tab Hindustan se Chandra gupta ne 1000’s ki taadat mein ek lashkar karbala ki janib ravana kiya tha lekin afsos jab yeh Brahmano se bhara lashkar karbala pahuchta hai to Imam Husain a.s aur ashaab pehle hi shahid ho chuke hote hai tab is lashkar ke kuch insaan wahi tik jae hai aur baad mein hazrat mukhtar ke lashkar mein jud jate hai aur laeenon se intiqaam lete hai jabki baki lashkar ke log Hindustan vapas palat aate hai jab Chandra gupta ko imam hussaina.s ke shaheed hone ki khabar milti hai to to aap bahut gamzeeda hote hai aur pure Hindustan mein kale parcham lagane ka huqm dete hai. Chandra gupta ke darbaar me Hindustan ka mashhoor kavi kalidas tha jisne Imam Husain a.s ki bazm mein yeh ashhaar kahe the-‘AE HUSAIN AAPKA AAGAAZ THA AAGOSHE RASUL KIYA HUA ANJAAM BAYAN KAUN KARE’
CONFUSION(SHUBHA): CHANDRA GUPTA ka period (320 A.D -335A.D) LEKIN Karbala Ki Jung : October 10, 680 A.D(EESVI) JO BAHUT BAAD MEIN HUI THI ISSE PATA CHALTA HAI AGAR HUM PURA ‘GUPTA PERIOD’ PAR NAZAR DALE JO (320A.D-550A.D)TAK HAI TABBHI JO KARBALA KI JUNG SE BAHUT PEHLE KA PERIOD(DAUR) HAI