Adl


Adl
                                                         Lesson Four          

Q1. Adl ka kiya mana hai?
Ans. Dictionary main ‘Adl’ ka matlab hai barabari.
Lekin Is ilm main ‘adl’ ke do maana hain:
1.     Kisi cheez ko uski sahi jagah par rakhna.
2.     Haqdar ko uska haq dena.
Aur iske muqabil main hai ‘Zulm’ yaani na barabari aur haqdar ko uske haq se mahroom karna, ya phir kisi cheez ko uski sahi jagah se hata dena.

Q2. Kiya Allah zulm kar sakta hai?
Ans. Hargiz nahi, Kiyon ki zulm ka chaar sabab hota hai aur Allah in Charon asbab se munaz-zah aur paak hai.

Q3. Zulm ke asbab kiya hain?
Ans. Zulm ke chaar asbab hain:
1.   Jehalat aur Nadaani: Insaan aksar apni nadaani doosron par zulm karta hai. Ham aik mamooli si misal par ghor karain to yeh baat wazeh ho jayegi. Ham agar kaheen baithe hon aur wahan zor se baat karain, aur wahin us room ke baghal main ko’ee room ho aur wahan ko’ee sota shakhs hamari awaaz se jaag jaye to yeh us ke haq main zulm aur hamnain apni la-ilmi main doosre par zulm kiya aur ham mutawajje bhi nahi hain.
2.   Mohtaji: Aksar zalim insaan ke paas agar ko’ee cheez nahi hoti hai to wo use kisi bhi tarhan hasil karna chata hai, chahe kisi ka haq mar kar, doosre par zulm o sitam kar ke hi hasil kiyon na ho.
3.     Hasad aur Kina: Aksar zalim insaan ke paas jab ko’ee cheez nahi hoti hai, aur wo us cheez ko doosre ke paas mojood dekhta hai to yeh daikh kar use hasad hota hai. Aur us ki khahish yeh hoti hai ke wo kisi bhi tarhan us cheez ko hasil karley.
4.     Aajezi aur Na-Tawani: Insaan jab kisi cheez ko hasil karne se aajiz hota hai to agar zalim hai to uski khahish hoti hai ki doosre ka haq mar ke bhi us cheez ko hasil karley.
Allah tabarak o Ta’ala ki zaat in chaaron cheezon se paak hai wo na kisi cheez se ghafil hai aur na ko’ee cheez us-se chipi hai. Wo har cheez ka jaanne wala hai.  To Jihalat ke sabab wo kabhi zulm nahi kar sakta kiyon saari dunya uske saamne aur uske hozoor main hai.
Saari dunya usi hi ki bana’ee ho’ee aur uski qudrat main hai wo kisi bhi cheez ka mohtaj nahi hai wo har cheez par qudrat rakhne wala hai. Aur kisi bhi cheez ka muhtaj nahi hai wo jab jo chahe hasil kar sakta hai.
Saari dunya us ki mohtaj hai aur sab ko dene wala hai. Jiske paas jo kuch bhi hai wo usi ka hai. Lehaza wo kisi ke aage aajiz aur mohtaj bhi nahi hai.

Q5. Kiya Allah insaan par zulm karta hai yaa insaan khuda apne oopar zulm karta hai?
Ans. Khuda Irshaad fermata hai:
انّ اللہ لا یظلم الناس شیئاً ولٰکنّ الناس انفسھم یظلمون ﴿یونس، آیت ۴۴﴾
Allah hargizh kisi par zulm nahi karta, log khud apne aap par zulm karte hain.
Doosre maqam par Irshaad hota hai:
انّ اللہ لا یظلم الناس مثقال ذرةٍ۔۔۔ ﴿انبیاء ۴۷﴾
Khuda logon par zarra barabar bhi zulm nahi…