Sifaat - e - Khuda


Sifaat-e-Khuda
Lesson Two

Q 1. Allah ki sifaat kitne tarhan ki hain?
Ans. Allah ki Sifaat do tarhan ki hain:
(1) Sifaat-e-Sobootiya                      
(2) Sifaat-e-Salbiya

Q 2. Sifaat-e-Sobootiya kin Sifaat ko kahte hain?
Ans. Sifaat-e-Sobootiya wo Sifaat (Attributes) hain jo Allah ki Zaat se Makhsoos hain aur un ka Allah main paya jaana Zaroori hai. In sifaat ko “Sifaat-e-Jamal” bhi kahte hain.

Q 3. Sifaat-e-Salbiya kin Sifaat ko kahte hain?
Ans. Sifaat-e-Salbiya un sifaat ko kahte hain jin Allah ki zaat main na paya jaana zaroori hai aur wo chahe doosri makhlooqaat ke khoobi aur kamal hon lekin Khuda ke liye wo naqs aur aib hain. In Sifaat ko “Sifaat-e-Jalal” bhi kahte hain.

Q 4. Sifaat-e-Sobootiya kitni hain?
Ans. Allah main (8) Aath sifatain “Sifaat-e-Sobootiya” maani jaati hain, aur wo kuch is tarha hain:
I.                   Hayy  (حیّ) :                          Hamesha se zinda hai.
II.                 Qadeer (قدیر):                      Har cheez par qudrat rakhta hai.
III.              Aleem (علیم):                        Har cheez ka jaanne wala hai.
IV.              Mureed (مرید):                    Har cheez ka Irada karne wala hai.
V.                Mutakallim (متکلم):           Bolne wala hai.
VI.              Mudrik (مدرک):                   Har cheez ka dark karne aur samajhne     
                                               wala hai.
VII.           Baseer (بصیر):                     Har cheez ko daikhne wala hai.
VIII.         Sadiq (صادق):                      Sachcha hai aur kabhi jhoot nahi bolta hai.


Q 5.  Allah ki Sifaat-e-Salbiya kitni hain?
Ans. Mundareja Zail Sifaat, Sifaat-e-Salbiya kahi jaati hain:
I.                   Khuda ka ko-ee Sharik nahi hai.
II.                 Khuda murakkab nahi  hai.
III.              Khuda Jism nahi rakhta.
IV.              Khuda kisi makan ka mohtaj nahi hai.
V.                Khuda kisi Jism main holool nahi karta.
VI.              Khuda mar’ee nahi  hai.
VII.           Uski zaat har tarhan ki tabdeeli aur badla’o se paak hai.
VIII.         Uske Sifaat ain-e-Zaat hain.