Taharat And Nijasaat


Taharat (Part-one)
Mutah-harat
Lesson Three

Q1. Mutah-harat kin cheezon ko kahte hain?
Ans. Wo cheezain jo khud bhi paak hon aur doosri cheezon ko paak kar sakti hon unhain Mutah-harat kahte hain.

Q2. Mutah-harat kitne hain?
Ans.  Mutah-harat 10 hain:
1.     Paani
2.     Suraj
3.     Zameen
4.     Istehala
5.     Islam
6.     Tab-eeyat
7.     Inteqal
8.     Ain-e-Nijasat ke door hona (Za’el hona)
9.     Musalman ka Ghayab hona
10. Nijasat khor janwar ka Istabra

Q3. Najis cheez ko aab-e-qaleel se kaise paak kiya jayega?
Ans. Ain-e-Nijasat ko door karne ke baad aab-e-qaleel main teen martaba dhoya jaye to najis cheez paak ho jayegi.

Q4. Agar ko-ee gaihra bartan ya wo bartan najis hojaye jise hila kar uska paani phainkna  mumkin na ho to aab-e-qaleel se use kaise paak kiya jaye?
Ans. Agar ko-ee aise bartan najis hojaye jiska paani hila kar bahar phainkna mumkin no ho to ain-e-nijasat door karne ke baad use teen (3) bar dhoya jayega, aur har bar uska paani kisi jug ya doosri cheez ke zariya bahar nikala jayega aur jo zara bohot paani jug se nahi nikal sakta ho use kisi paak kapde main juzba kar liya jayega aur. Aur har baar paani nikalne ke baad us jug aur kapde bhi paak kiya jayega.
 
Q5. Agar ko-ee cheez najis ho jaye to wo kaise paak ki jayegi?
Ans. Kisi najis cheez ko paak karne ke liye sab se pahle us main se ain-e-nijasat door karne ke baad aab-e-qaleel main teen bar aur aab-e-kaseer main aik baar dhoya jaye to wo paak ho jayegi.

Q6. Agar aab-e-Kur najis ho jaye to wo kaise paak hoga?
Ans. Agar aab-e-kur najis ho jaye to ya to use kisi jaari paani se mila diya jaye aur milane ke baad agar uska rang, boo aur maza theek ho jaye to wo paak ho jayega.
Aur ya phir us main itni miqdar main paani dala jaye ke us ka rang, boo aur maza apni purani halat par wapas aajaye, to is tarhan wo paak ho jayega.

Q7. Suraj kin cheezon ko paak karta hai?
And. Wo cheezain jo apni jagah se hata-ee nahi jaa saktin jaise diwar, darkht, raasta, khirdki aur darwaza waghaira, agar yeh cheezain najis ho ja-ain to inhain Suraj ki roshni ke zariya paak kiya jayega.

Q8. Suraj kis tarhan kisi najis cheez ko paak karega?
Ans. Pahle najis cheez ko paani se bhigoya jayega aur phir suraj ki roshni is tarhan us par parde ke andar aur bahar ko dono hissa aik baar main khushk ho aur suraj ki roshni direct(barahe raast) us par pohnche aur hawa ke zariya wo khushk na ho, to is tarhan suraj ke zariye wo cheez paak ho jayegi.

 
Taharat (Part-Two)
Mutahharat
Lesson Four

Q1. Zameen kis tarhan paak karegi?
Ans. Pair ya joote ke tale par agar ko-ee nijasat lag jaye to ain-e-nijasat ko door karne ke baad ya to zameen par unhain ragard diya jaye aur ya phir 15 qadam zameen par chala jaye to wo paak ho ja-ainge.

Q2. Paak karne wali zameen ko kaisa hona chahiye?
Ans. Paak karne wali zameen :
1.  Khuskh ho
2.  Paak ho
3.  Rait ki zameen na ho
4.  Lakdi ka farsh na ho
5.  Khalis zameen ho, us par darmar waghaira na ho
6.  Us par ghans waghaira na ho
7.  Masoo-ee farsh na ho.

Q3. Istehala kise kahte hain?
Ans. Istehala yaani ek halat se doosri halat main badal jaana, jaise lakdi jal kar raak ban jaye ya phir kutta yaa ko-ee doosra najis janwar namak ki kaan main gir kar bilkul ghul kar namak main mil jaye to use istehala kahte hain. Aur Istehale ke baad ek najis cheez paak ho jaati hai.

Q4. Islam kis tarhan najis ko paak banata hai?
Ans. Agar ko-ee ghair-e-Muslim, Musalman ho jaye to us ka Jism paak ho jayega.

Q5. Tabee-at kise kathe hain?
Ans. Agar kisi najis cheez ke paak hone ke saat hi saat ko-ee doosri cheez bhi paak ho jaye to ise Tabee-at kahte hain. Jaise murde ko ghusl dene ke saat wo takht bhi paak ho jayega jis par use ghusl diya gaya hai aura lag se use paak karne ki zaroorat nahi hai. Yaa agar ko-ee shakhs Musalman ho jaye to us ke hamrah uska ghair-e-baligh farzand (lardka ho ya lardki) paak ho jayega.

Q6. Inteqal ka kiya maana hai aur wo kaise mutahhir hai?
Ans. Inteqal yaani agar ek najis cheez kisi doosri aisi cheez ka hissa ban jaye jo paak hai to wo bhi paak ho jayegi. Jaise insaan ka khoon najis hai lekin agar yeh khoon Machchar ke jism ka hissa ban jaye to paak ho jayega. Haan agar uske jism ka hissa na ban paye to wo paak nahi hoga, jaise machchar abhi jism par baitha ho aur insaan ka khoon choos raha ho to se maarn ke baad jo khoon badan par lagta hai wo najis hota hai kiyon ki wo machchar ke jism ka hissa nahi ban paya tha.

Q7. Ain-e-Nijasat ka door hona kaise paak karta hai?
Ans. Agar haiwan ke badan yaa moo par ko-ee nijasat lag jaye, aur phi rain-e-nijasat door ho jaye to wo paak ho jayega aur alag se use paak karne ki zaroorat nahi hai.

Q8. Nijasat khor janwar ka istebra kaise hota hai?
Ans. Agar ko-ee halal gosht janwar nijasat khane lage to uska gosht haram ho jata hai, lekin agar uska Istebra kar liya jaye to wo paak ho jayega. Albatta har janwar istebra alag hai:
1.  Oont (Camel) ka istebra yeh hai ke use 40 din tak halal ghaza di jayegi.
2.  Gaye (Cow) ko 20 din tak halal ghaza di jayegi.
3.  Bakri (Goat) ko 10 din tak.
4.  Murghabi ko 5 din tak.
5.  Murghi ko 3 din tak.

 








Nijasaat
Lesson Five

Q1. Nijasaat Kin cheezon ko kaha jaata hai?
Ans. Wo cheezain jo paak na ho, aur wo doosri najis cheez ko paak na kiya jasake aur wo doosri paak cheezon ko najis kar sakti hon unhain nijasaat kaha jaata hai.

Q2. Ko-ee paak cheez kaise najis hoti hai?
Ans. Kisi paak cheez ke najis hone ke liye zaroori hai ki:
1.  Wo nijasat se mile.
2.  Us par nijasat gir jaye.
3.  Najis ya paak dono main se ko-ee aik cheez gili ho.
4.  Dono main se kisi aik main itni rotubat ho ke doosre tak pohonch jaye to paak cheez najis ho jayegi.

Q2. Nijasaat kitne hain?
Ans. Nijasaat 11 hain:
1.  Peshab
2.  Pakhana
3.  Khoon
4.  Mani
5.  Sharab
6.  Fuqqa
7.  Kafir
8.  Kutta
9.  Suwar
10. Nijasat khoor Oont ka pasina
11. Murdar

Q3. Kika peshab aur pakhana najis hota hai?
Ans. Insaan ya wo tamam janwar jinka gosht haram hai aur wo khoon-e-jahinda rakhte hon to unka peshab aur pakhana najis hota hai.



Q4. Kin janwaron ka peshab aur pakhana najis nahi hai?
Ans. Wo janwar jo halal gosht hain ya agar haram gosht hain lekin khoon-e-jahinda nahi rakhte to unka peshab aur pakhana najis nahi hai. Jaise tamam halal gosht janwar aur haram gosht main machchar, mak-khi waghaira.

Q5. Konsa khoon aur mani najis hai?
Ans.  Insaan ya wo  tamam janwar jo khoon-e-jahinda rakhte hain unka khoon najis hai. Chahe wo halal gosht hi kiyon na hoon. Jaise gaye, bakri waghaira. Albatta halal gosht janwaron ko zib karke saara khoon bahne ke baad wo khoon jo jism main baqi rahjata hai wo najis nahi hai.
Isi tarhan mani bhi insaan yaw o janwar jo khoon-e-jahinda rakhte hain unki mani bhi najis hai.

Q6. Kiya nashe main laane wali saari cheezain najis hain?
Ans. Sharab aur nasha laane wali wo tamam cheezain jo sayyal (Gili) hon wo najis hain aur unka istemal haram hai. Lekin nashe main laani wo cheezain jo sayyal na hon wo paak hain lekin paak hone ka matlab qat-an yeh nahi hai ke unka istemal jayaz hoga.

Q7. Kiya sare kutta aur suwar najis hain?
Ans. Nahin, balke sirf khushki main main rahne wale kutte aur suwar najis hai. Chunanche samandari kutte aur suwar najis nahi hain.

Q8. Fuqqa kise kahte hain?
Ans. Jao (جو) se bani sharab ko fuqqa kahte hain. Yeh najis aur is ka pina haram hai.

Q9. Murdar kise kahte hain?
Ans. Agar janwar khud ba khud  marjaye aur ya phir halal gosht janwar ko use Shar-ee tariqe se zibah na kiya jaye ya phir jahtke se uski garden urda di jaye to wo najis hai aur use murdar  kahte hain.

Q10. Kiska pasina najis hai?
Ans. Agar ko-ee oont nijasat khor ho jaye to suka pasina najis hai. Isi tarhan ehteyat ki bina par Zina ke zariya mujnib howeh shakhs ka pasina bhi najis hai.

Q11. Kiya Qibla rukh peskhab aur pakhana kiya jaasatka hai?
Ans. Qible ki janib chehra ya pusht karke peshan aur pakhana Haraam hai.

Q12. Kiya Insaan doosron ke ki sharmgah dekh sakta hai?
Ans. Har Insaan par wajib hai ke wo doosron se apni sharmgah ko chipayeh aur doosron ki sharmga ki taraf nighar na kare. Yahi wajah hai ke wajib hai ke insaan peshab aur pakhana logon ki nigahon se door ho kar kare.