Khums (one-Fifth=Twenty %)
Lesson Sixteen
Q1. Khums kin cheezon par wajib?
Ans. Saat cheezon par khums wajib hai:
1. Saal bhar ka munafa.
2. Madan (Mines).
3. Khazana (Treasure) .
4. Jang ka Maal-e-Ghanimat.
5. Gawwasi se hasil ho jawaharat.
6. Wo mal-e-Halal jo Jaram se mil gaya ho.
7. Wo zameen jo kafir-e-Zimmi kisi Muslman se kharid raha ho.
Q2. Saal bhar ke munafe se kiya murad hai?
Ans. Saal bhar ke tamam zaroori aur halal akhrajaat nikalne ke baad jo paisa ya anaaj waghaira bach jaye to us par khums wajib hai.
Q3. Khums kab se baligh hota hai?
Ans. Insaan jab se mukallaf hota hai, uspar tamam fara’ez wajib jo jate hain. Isi tarhan Khums bhi uspar wajib hojata hai albatta is shart ke saat ke uski saal bhar ki aamadani se kuch bache. Lekin Us par zaroori hai ke apne boloogh ke din se hi khums ki tarikh apne liye muqarra kar ley.
Q4. Kin cheezon par khums wajib nahi hai?
Ans. Mandarja Zail cheezon par khums nahi hai:
1. Miraas main mila maal (magar ye ke mayyat ne khums na diya ho)
2. Tohfe main mila maal.
3. Inaam main mila maal.
4. Eidi main mila maal.
5. Khums, zakat ya sadaqe main mila maal.
6. Meher main mila maal.
Q5. Madan par kab khums wajib hota hai?
Ans. Agar madan ke tamam akhrajaat nikalne ke baad uski miqdar 15 misqal sona ho rahi ho to uska khums dena zaroori hai. Aur Khazane main bhi isi tarhan uske tamam makharij nikalne ke baad agar uski miqadar 15 misqal sona pohonchti hai to uska khums wajib hai.
Q6. Agar maal-e-halal, Haraam se mil gaya ho to kab uspar khums wajib hai?
Ans. Agar maal-e-Halal, Haraam se mil gaya ho aur uski miqadar bhi maaloom na ho aur uske malik ka bhi pata no to us maal ka khums dena zaroori hai.
Q7. Gawwasi se mile jawaharat par kab khums wajib hoga?
Ans. Akhrajaat nikalne ke baad agar gawwasi se mile jawaharat ki miqdar 18 dane sone tak pohonchti hai to uspar khums wajib hai.
Q8. Agar kisi nain khums na diya ho to kiya wo apne maal main tarsarruf kar sakta hai?
Ans. Jis shakhs nain khums na diya ho wo gunahgar hai aur iske saat hi saat uska apne maal main tasarruf bhi haraam hai. Aur us paise se kharide howe libaas, aur makan kharida ho to us namaz batil hai.
Q9. Khums ko kahan kharch kiya jana chahiye?
Ans. Khums ke do Hisse hote hain:
1. Sahm-e-Imam: Jo Imam ya Unke nayab ko diya jayega aur wo mandarja zail kisi aik rah main kharch karainge:
I. Faqeer.
II. Miskeen.
III. Deen ki tabligh main.
IV. Musafir jo safar main faqeer hogaya ho.
V. Usko jo paise se mazahab-e-Haqqa ki janib aasakta hai.
VI. Wo kafir jo dushman ke khilaf, jang main muslmanon ki madad kare.
VII. Falah-e-Aam main kharch kiya jaye.
VIII. Kisi Ghulam ko kharid kar aazad karde.
2. Sahm-e-Saadaat: Kisi Nadar, aur Isna Ashari aur Aashkara gunah na karne wale sayyad ko diya jayega.
*******