Mayyat Ke Ahkam


Mayyat ke Ahkam
Lesson Ten
Q1. Ahtezar ke waqt kiya karna chahiye?
Ans. Jab ko’ee momin halat-e-ehtezar main ho to use rob a qibla lita dena chahiye, aur use sirhane Quran ki tilawat karni chahiye khosoosan sura’e Yasin.

Q2. Momin ya muslim ki mota ke baad karna chahiye?
Ans. Agar ko’ee momin ya muslim mar jaye to Tamam muslmano par wajib-e-Kifa’ee hai ke wo us marne wale ka ghuls, kafan, dafan ka ehtmam karain.

Q3. Ghusl-e-Mayyat kaise hota hai?
Ans. Mayyat ke jism se tamam nijasatain door karne ke baad use 3 ghusl dena wajib hai:
1.  Aab-e-Kafoor se: Pahle sar-o-gardan ko dhoya jayega aur phir jism ka dahena hissa aur phir jism ka bayan hissa, bilkul usi tarhan jaise Ghusl-e-jinabat main wazahat ki ga’ee hai.
2.  Aab-e-Sidr se: Paani main bair ke paaton ka araq milakar banaya jayega, aur aab-e-kafoor ki manind mayyat ke jism par dala jayega.
3.  Aab-e-Khalis se: Mayyat ka aakhri ghusl hai, aur yeh bhi kafoor aur sidr ke manind diya jayeg.

Q4. Mayyat ko ghusl kon dega?
Ans. Agar mayyat mard ho to use sirf mard ghusl dega, albatta agar aurat mahram ho jaise bivi. To wo apne shohar ko ghusl ko de sakti hai.
        Aur mayyat agar aurat ho to use sirf aurat hi ghusl degi. Haan marne wali kisi ki zoja ho to uska shohar use ghusl o kafan de sakta hai.

Q5. Kis mayyat ko ghusl dena zaroori hai?
Ans. Har muslman ko ghusl dena wajib chahe bachcha ho ya barda. Yahan tak ke wo bachcha jo saqit ho gaya ho lekin wo char mahine ka hochuka tha. To aise bachche ko ghusl dena wajib hai.

Q6. Mayyat ko kafan kaise diya jayega?
Ans. Mayyat ko kafan main teen cheezain pahnana wajib hain:
1.  Me’zar (Lungi): Jo naaf ke niche se ghutno tak di jayegi.
2.  Qamees: Shanon ke oopar se pindhliyon tak dali jayegi.
3.  Chadar: Jis par mayyat ko litaya jayega aur phir uska dahena hissa mayyat ko ba’in janib aur bayan hissa mayyat ke daheni janib dala jayega.

Q7. Kafan main kiya cheezain mustahab hain?
Ans. Mandarja Zail cheezain mayyat ke kafan main mustahab hain:
1.  Aik chadar aur dalna.
2.  Aurat par aik aur teesri chadar dalna.
3.  Mard ke liye aik ammama.
4.  Aurat ke liye Maqna.
5.  Auraton ke liye Sina-band.
6.  Raan painch mard aur aurat dono ke liye.
7.  Kafan ka bur-e-Yamani ka hona.

Q8. Mayyat par kab namaz pardhi jayegi?
Ans. Ghusl aur phir kafan dene ke baad agar ko’ee 6 saal ka hogaya hai to uspar namaz pardhna zaroori hai.

Q9. Namaz-e-mayyat kaise pardhi jayegi?
Ans. Agar mayyat mard ho to use ro ba qibla litaya jayega is tarhan ke wo daheni karwat par litaya jaye aur uska chera roo ba qibla ho. Aur namaz pardhne wala uski kamar ke paas kharda ho kar mandarja zail surat main namaz ada karege:
١۔  پہلی تبکیر: اللہ اکبر
Us ke baad kahega:
اشھد ان لا الٰہ الاّ اللہ وحدہ لا شریک لہ و اشھد ان محمداً عبدہ و رسولہ
۲۔ دوسری تکبیر:اللہ اکبر
اللھم صلِّ علیٰ محمد و آل محمد
۳۔ تیسری تکبیر:
اللھم اغفر للمومنین و المومنات و المسلمین و المسلمات

۴۔ چوتھی تکبیر:
اللھم اغفر لھٰذا المیت۔
۵۔ پابچویں تکبیر کے بعد نماز ختم ہو جائے گی۔﴿Panchwin takbeer ke baad namaz khatm ho jayegi

Aur agar mayyat aurat ho to use mard ki tarhan ro ba qibla litaya jayega aur phir namaz pardhne wala aurat ke sine ke paas kharda ho kar namaz pardhega. Aur namaz mandarja zail surat main pardhi jayegi:
۔  پہلی تبکیر: اللہ اکبر
Us ke baad kahega:
اشھد ان لا الٰہ الاّ اللہ وحدہ لا شریک لہ و اشھد ان محمداً عبدہ و رسولہ
۲۔ دوسری تکبیر:اللہ اکبر
اللھم صلِّ علیٰ محمد و آل محمد
۳۔ تیسری تکبیر:
اللھم اغفر للمومنین و المومنات و المسلمین و المسلمات
۴۔ چوتھی تکبیر:
اللھم اغفر لھٰذہ المیت۔
۵۔ پابچویں تکبیر کے بعد نماز ختم ہو جائے گی۔﴿Panchwin takbeer ke baad namaz khatm ho jayegi
Q10. Kiya namaz-e-mayyat main taharat zaroori hai?
Ans. Nahi wajib nahi hai lekin behtar hai ke taharat ke saat pardhe chahe tayammum hi kiyon na ho.