Ghusl And Tayammum


Ghusl
Lesson Eight

Q1. Wajib ghusl Kitne hain?
Ans. Wajin ghusl
1.  Ghusl-e-Jinabat.
2.  Ghusl-e-Mayyat.
3.  Ghusl-e-Mas-e-Mayyat.
4.  Ghusl-e-Nazr, Qasam aur Ahad.
5.  Ghusl-e-Haiz, Nifas, aur Istehaza (Aorton ke liye).

Q2. Ghusli ki kitni qismain hain?
Ans. Ghusl ki do qismain hain:
1.  Ghusl-e-Tartibi
2.  Ghusl-e-Irtemasi.

Q3. Ghusl-e-Tartibi kaise karte hain?
Ans. Badan nijasat ko saaf kar ke, Niyat ke baad:
1.  Sar aur gardan ko dhona.
2.  Badan ke dahenain Hisse ko shano se pair ki ungliyon aur talwe tak dhona aur ehteyat ki bina par sharmgah ko bhi shamil kare.
3.  Badan ka ba’ain Hisse ko shano se pair ki ungliyon aur talwe tak dhona aur ehteyat ki bina par sharmgah ko bhi shamil karna.
4.  Ghusl main tarteeb zaroori hai yaani pahle sar, phir dahena aur phir bayan hissa dhona. Lekin mawalaat zaroori nahi hai.

Q4. Ghusl-e-irtemasi kaise karte hain?
Ans. Niyat karne ke baad paani ke andar sar dubone se ghusl-e-irtemasi hojata hai aur ehteyat ki bina par paani ke andar jism ko hila lena chahiye.

Q5. Kiya waib ghusl ke baad namaz ke liye wozoo karna zaroori hai?
Ans. Sirf Ghusl-e-Jinabat ke baad wozoo saqit hai, yaani is ghusl ke baad jabtak ko’ee aisa kaam na kare jisse wozoo toot jata hai, tab tak usi ghusl se namaz pardhi jasakti hai aur wo tamam kam kiye ja sakte hain jinmain wozoo zaroori hai.

Q6. Agar ghusl ya wozoo se farigh hone ke baad yeh shak ho ke wozoo ke doraan niyat ki thi ke nahi, to kiya karna chahiye?
Ans. Ghusk ya Wozoo se farigh hone ke baad agar wozoo ke bare main ko’ee shak ho to uski parwa nahi ki jayegi.

Q7. Agar Namaz ke darmiyan yeh shak ho ke wozool ya wajib Ghu kiya hai ya nahi to kiya karna chahiye?
Ans. Us namaz ko sahi mante howe poora kiya jayega aur phir uske baad doosri namaz ke liye ghusl ya wozoo kiya jayega.




Tayammum
Lesson Nine
Q1. Tayammum kaise kiya jata hai?
Ans. Tayammum mandarja Zail surat main hot hai:
        Niyat ke baad:
1.  Dono haton ki hateli ko zameen par ya us cheez par ke jis tayammum sahi hai, mara jayega aur phir peshani par baal ugne ki jageh se naak ke oopri sireh tak laya jayega. Aur phir daheni hateli ko daheni janib aur ba’ain hateli ko ba’ain janib phaira jayega.
2.  Ba’ain haat ki hateli ko dahene haat ki pusht par pherega aur ba’ain haat ki hateli ko dahene haat ki pust par phera jayega.

Q2. Kin suraton main tayammum zaroori hota hai?
Ans. Mandarja Zail suraton main tayammum zaroori hai:
1.  Paani mojood naho.
2.  Paani ka hasil kana mashaq-qat ka ba’es ho.
3.  Paani ke istemal se tabiyat kharab hone ya phir bimari ke bardh jane ka andesha ho.
4.  Paani milne ki jaga par jaan, maal ya namoos ko nuqsaan pohonchne ka khatra ho.
5.  Paani itna kam ho ke agar wozoo kar liya jaye to piyas se kisi insaan ya mohtram aur palto janwar ki jaan chali jayegi.
6.  Badan ya libaas najis ho aur paani itna kam ho ke ya badan ya libaas paak kiya jaye aur ya phir wozoo ya ghusl kiya jaye. To badan aur libaas paak kiya jayega aur namaz ke liye tayammum hoga.
7.  Paani aise bartan main ho jika istemal haram ho, jaise sone ya chandi ka bartan.
8.  Waqt itna tang ho ke wozoo ya ghusl karne main namaz ka waqt fot ho jayega.

Q3. Paani na hone ki surat main kiya forun tayammum kiya ja sakta hai ya phir jsutojoo zaroori hai?
Ans. Agar paani naho to tayammum se qabl justojoo zaroori hai.
Q4. Kitni miqdar mian justojoo zaroori hai?
Ans. Zameen do tarhan ki hoti hai:
1.  Hamwar zameen: Charon janib se 4 sow qadam tak tayammum se qabl paani ki talash zaroori hai.
2.  Nasheb-o-faraz wali zameen: 2 Sow qadam tak tayammum se qabl paani ki talash zaroori hai.

Q5. Agar haat main anguthi ya challa ho to tayammum sahi hoga?
Ans. Nahi.

Q6. Kin cheezon par tayammum kiya ja sakta hai?
Ans. Mandarja Zail cheezon par tayammum sahi hai:
1.  Mitti
2.  Raith
3.  Pat-thar
4.  Dhaila
5.  Paki ho’ee mitti
6.  Choone ka pat-thar jab kachcha ho
7.  Sang-e-marmar
8.  Sang-e-siyah
9.  Sigar asli pat-tharon par.

Q7. Agar tayammum ke aa’za najis hon to tayammum sahi hoga?
Ans. Nahi, tayammum ke aa’za ka paak hona zaroori  hai.