Adl aur Aafaat
Lesson Five
Q1. Agar khuda Adil hai to insaan ki zindagi main musibatain kaise aati hain?
Ans. Agar in musibaton ko ghor o fikr ki nagah se dekha jaye to yeh wazeh ho jayega ke yeh musibatain Allah ki naa-insaafi nahi hain balke uski behtareen ne’mat hain. Aur Insaan ke undar chand khamiyaan pa’ee jati hain jinke sabab insaan foran musibaton ke bare main kahne lagte hai ke yeh Allah ka sitam hai, ham par. Wo khamiyan kuch is tarhan hain:
1. Mahdood maaloomaat aur mahdood nazar:
Aksar log jo kisi hadese ko daikh kar fiala kardete hain, wo faisla ghalat aur kohta nazri ke sabab hota hai. Insaan apni la ilmi ki wajah se zaheri haallat ko dekhta hai aur jald baazi main ghalat faisla kar leta hai. Misaal ke tor par agar kahin khoob taiz baarish hoti hai aur chand gharib logon ge ghar sailaab ki zad main aajaate hain to foran be saakhta zaban par aataa hai ke Allah nain hamare saat naa insaafi aur itni baarish nazil ki ke hamara ghar tabah hogaya. Lekin agar is baarish par ghor karain to is ke kitne faide hain jo shayad insaan ki koshishon ke zariye kabhi bhi hasil nahi hosakta the jabke Allah aise gharibon ke ghar tabah hone ke baad intezaam kar rakha hai:
1. Agar baarish na ho to fasl nahi ug sakti.
2. Agar baarish na ho to darakhton ki sicha’ee nahi ho sakti.
3. Agar baarish na ho to zameen tapish kam nahi hogi.
4. Baarish ka paani bijli bana ke kaam main bhi aataa kiyon ki baarish ke baad darya’on ke paani ki satah oopar aati hai aur unke paani main baha’o tez hota hai aur phir us paani ko bijli tayyar karne main istemaal kiya jaata hai.
Yeh wo tamam fa’ede hain jo baarish se tamam insaano ko hasil hote hain. Aab rahi agar kuch insaano ke ghar tabah ho gaye. To Zulm us waqt hota jab Allah nai iska ko’ee hal na diya hota. Jab Allah nain aisa mukammal Islami nizam diya hai, aur aise gharib aur naadaar afraad ki tabahi ke baad foran unke ghar ki tameer zaroori ki. Aur khums o Zakat ka aik aham hissa inhi zaroorat mand afaraad ko dast giri ke liye hi makhsoos kiya hai. Aur sarmaya daron aur paise walon ke maal main gharibon ka Haq rakha hai. Taake zaroorat ke waqt maal daaron ke paise se aise ghareed o naadaar afraad ki madad ho sake. Ab agar aise majboor aur beghar afraad ki madad se maal dar afraad farar ikhteyar karian aur Islami Usool o Qawaneen ki ahmiyat na samjhain to is main insaano ki khata aur khaami hai Allah ki naa-insaafi nahi.
2. Hawadis Insaan ko bedaar karte hain:
Aksar insaan apni zindagi main itna ghafil hojaata hai ke apni zindagi ma maqsad yaad nahi rah paata. Lekin jaise hi zindagi main ko’ee sakhti aati hai to foran mutawajjeh ho jaata hai. Aur bohot saari musibatain to insaan ko bedaar karne ka kaam karti hai, bilkul Speed breakers ki maanind. Jis tarhan speed breakers insaan ki ghardi ki raftar ko qaboo main laate hain aur kabhi kabhi to sote insaan ko jagane ka kaam karte hain. Isi tarhan insaan ki zindagi main musibatain, insaan ko jagane ka kaam karti hain. Aur sakhtiyan koshish par majboor karti hain, agar insaan zindagi main sakhtiyon ka ehsaas na karte to shayad aaj jis tarqqee tak pohncha hai, na pohonch paata.
Aur aksar hadesaat ke baad insaan Allah ko bhi yaad karne lagta hai, uske andar ki insaaniyat bedaar ho jaati hai, use apne ham no’ doosre insaano ke ehsaas bhi hone lagta hai.
Qura’n main aik maqam par irshaad-e-Khuda hota hai:
فاخذناھم بالباٴساء و الضراء لعلھم یتضرعون۔ ﴿سورہ انعام ۴۳﴾
Hamnain unhain sakht aur dard naak hawadis main mubtala kiya taake wo hamari bargah main aajaa’ain.
Lehaza in tamam baton ka nochord yeh hai ke Musibatain Allah ki naa-insaafi nahi hain, balke Allah ke lutf aur uski ne’mat hain.