Tawheed


A Ramzan Islamic Camp
A brief upbringing session and Practical teaching of Islam
In
Ahmedabad

Tawheed
Lesson One
The Existence of Allah (Almighty)

Q 1. Kiya Is dunya ka ko-ee banane wala hai ya nahi?
Ans. Har sahib-e-aql insaan mamooli se mamooli si bani ho-ee cheez ko daikhta hai to fauran uske banane wale ke bare main poochta hai, aur agar us-se yeh kaha jay eke yeh cheez baghair kisi banane wale ke khud ba khud apne aap hi ban ga-ee hai. To wo hargiz is baat ko qobool karne keliye tayyar nahi hoga.
To dunya main mojood mamooli se mamooli si cheez ke liyeh insaan yeh man-ne ko tayyar nahi hai ke wo khud ba khud baghair kisi banane wale ke wojood main aa-ee hai to wo aqal man insaan ajayeb se bhari itni bardi dunya ke bare main kaise man sakta hai ke baghair kisi banane wale ke bani hai. Balke yaqeenan is dunya ka ko-ee banane wala hai.

Q 2. Is dunya ka banane wala kon hai?
Ans. Madda parast danishwaron ka ek bard tabqa yeh kahta hai ke is dunya ka khaliq ko-ee aur nahi balke khud nature aur madda hai. Unka kahna hai ke hazaron baras pahle ju-aala mukhi main ek dhamaka ho-aa tha aur uske itni bardi dunya wojood main aa-ee. Lekin yeh madda parast Danishwar hazrat yeh bhool gaye ke kisi bhi cheez ko banane main kabhi kabhi bhi khud ba khud khoob surati nahi aati jabke ham is dunya main mukhtalif khoob surat nazareh zameen-o-aasman, Suraj, chand, sitare, yeh sayyare  dunya bhar mukhtalif ajib-o-gharib cheezain yeh sab ki sab khud ba khud sirf ek dhamake se wojood main nahi aa saktin. Inka banane wala yaqeenan ek qudratmand ba azmat aur Hakim khaliq hai. Aur is khaliq ko mukhtalif mazhabon main mukhtalif namon se yaad kiya gaya hai Islam main is khaliq-e-Kul ko Allah kahte hain.

Q 3. Is dunya ke banawale Allah ke bare main hum kiyon tahqeeq karain?
Ans. Allah ke bare main tahqeeq karna zaroori hai aur iki chand wajah hai:

1.     Insaan ke undar apne jahel ko door karne ka jazba:
Har insaan ke undar jaane aur apni jehalat door karne ka jazba hota hai, aur isi jazbe ke sabab har insaan ka zameer use is baat ki hidayat karta hai ke wo is dunya ke banane wale ke bare main jaane aur use pahchane.

2.     Insaan ke undar ka jazba-e-shukriya use majboor karta hai:
Jab ko-ee dost ko-ee mamuli sa tohfa deta hai to har ghairat man insaan ke dil main yeh jazba hota hai ke wo uska skukriya ada kare, kiyon ki us dost ne use tohfa diya hai. Aur yeh jaba har insaan ke zameer main ho-aa karta hai. Hamareh isi jazbe ka taqaza hai ke ham is ka-inat ke banane ale ko pahchane aur us ki barga main us ki nematon ka shukriya ada karain.

3.     Bandagi ka ahsaas:
Har Insaan ke undar bandage ka jazba paya jata hai aur us ka dil kisi ek azim taqat aur qoowat ki janib rujhan paida karta hai take uski bandage aur ibadat kar sake. Hamarh yeh ahsaas hamse yeh taqaza karta hai ke ham is dunya ke haqiqi banane wale ko pahchane aur uski bandage karain. 

Q 4. Allah ko pahchan-ne ke kitne raaste hain?
Ans. Allah ki Marefat ke do aham raaste hain:
(1) Insaan ka Nafs & (2) Saari kaa-enat
Quran majeed ki ek aayat bhi isi Haqeeqat ko banyan kar rahi hai:
“An qareeb Ham apni Nishaniyan unhain dikha-ainge take un ke liye Haq wazeh ho jayeh”.