Namaz

Namaz
Lesson Eleven
Q1. Wajib namazian kitni hain?
Ans. Wajib namazain 6 hain:
1.  Panjagana namazain
2.  Namaz-e-Mayyat
3.  Namaz-e-Aayat
4.  Walidain ki qaza namazain, bade bete par
5.  Khana-e-kaba ke tawaf ki namaz
6.  Nazr, Qasam aur Ahad ki namaz.
7.  Ijare ki namaz.

Q2. Panjagana namazain kiya hain?
Ans.  I. Namaz-e-Zohr              4 rakat.
        II. Namaz-e-Asr                4 rakat.
        III Namaz-e-Maghrib         3 rakat.
        IV. Namaz-e-Ishan            4 rakat.
        V. Namaz-e-Subh             2 rakat.

Q3. Panjagana wajib namazon ke kitne waqt hain?
Ans. Panjagana namazon main, har namaz ka 4 waqt hai:
1.  Makhsoo
2.  Fazilat
3.  Mushtarak
4.  Aakhri waqt.

Q4. Zohr aur Asr ka makhsoos, fazilat, mushtarak aur aakhri waqt kiya hain?
Ans.   Namaz-e-zohr:
1.  Makhsoos waqt:  Zawal ke baad jitni dair main 4 rakat namaz ada ki jaa sake wo zohr ka makhsoos waqt hai.
2.  Fazilat ka waqt: Zawal ke baad jab kisi shakhis ka saya uske qad barabar pohonch jaye to utni dair tak zohr ki fazilat ka waqt hai.
3.  Mushtarak waqt: Zohr aur asr ke makhsoos ke darmiyan ka waqt zohr ka mushtarak waqt hai.
4.  Aakhri waqt: Asr ke makhsoos waqt se itni dair qabl ke jism main char rakat namaz ada ki jaa sake, wo waqt zohr ka aakhri waqt hai.
Namaz-e-Asr:       
1.     Makhsoos waqt: Ghoroob se itni dair qabl ke jism main 4 rakat namaz ada ki jaa sake wo asr ka makhsoos waqt hai.
2.     Failat ka waqt: Jab shakhis ka saya apne qad barabar pohonch jaye to uske baad se dobaar uske qad barabar saye ke pohonchne tak ka waqt asr ki fazilat ka waqt hai.
3.     Asr ka Mushtarak waqt: Zohr aur asr ki makhsoos waqt ke darmiyan ka waqt, donon ka mushtarak waqt hai.
4.     Akhri waqt: Jab ghoroob ke liye itna waqt baqi ho ke us main sirf 4 rakat namaz ada ki jaa sakti ho to wo asr ka aakhri aur maskhsoos waqt hoga.

Q5. Zawal ka waqt kon sa waqt hai?
Ans. Do pahar ke waqt jab suraj aasman ke beech main aajaye is tarhan ke agar ko lakdi ya khamba zameen main gahrda jaye to jab do pahar main uska saya kam hone ke baad mashriq ki janib bardhe, ya bilkul khatm hone ke baad saya mashriq ki janib bardhe to ye waqt zawal ka waqt hai.

Q6. Namaz-e-Maghrib aur Ishan ka Makhsoos, Fazilat, Mushtarak aur Aakhri waqt kiya hai?
Ans. Namaz-e-Maghrib:
1.  Makhsoos waqt: Ghoroob ke baad jab mashriq ki janib surki ghayab ho jaye to yeh maghrib ka makhsoos waqt hai.
2.  Fazilat ka waqt: Mashriq ki janib ki surkh ke ghayab ho jane ke baad se utni dair tak maghrib ki fazilat ka waqt rahta jab tak maghrib ki janib ki surkhi baqi ho.
3.  Mushtarak waqt: Maghrib aur Ishan ke makhsoos waqt ke darmiyan ka waqt dono ka mushtarak waqt hai.
4.  Aakhri waqt: Nima-e-shab se itni dair qab ke jis main 7 rakat namaz pardhi jaa sakti ho to us main 3 rakat bhar ka waqt maghrib ka aakhri waqt hai aur baqiya 4 rakat bhar ka waqt ishan ka makhsoos waqt hai.
Namaz-e-Ishan:
1.  Makhsoos waqt: Nima-e-shab se itni dair qabl ke jism main4 rakat namaz ada ki jaasake wo Ishan ka makhsoos waqt hai.
2.  Fazilat ka waqt: Maghri ki janib mojood surkhi jab ghayab hone lage to yeh Ishan ki fazilat ka waqt hai.kon
3.  Mushtarak waqt: Maghrib aur Ishan ke makhsoos waqt ke darmiyan ka waqt in donon ka mushtarak waqt hai.
4.  Aakhri waqt: Nima-e-shab se itni dair qabl ke jis main sirf 4 rakat namaz ada ho sake wo Ishan ka aakhri waqt hai.

Q7. Namaz-e-Subh ka fazilat, aur aakhri waqt?
Ans. Namaz-e-subh:
1.  Fazilat: Subh-e-sadiq ke baad se aasman main roshni cha jane tak subh ki fazilat ka waqt hai.
2.  Aakhri waqt: Toloo-e-aaftab se itni dair qabl ke 2 rakat namaz ada ho sake yeh aakhri waqt hai subh ki namaz ka.

Q8. Qibla kise kahte hain?
Ans. Khana-e-ka’ba ki simt ko qibla kahte hain.

Q9. Sharayat-e-Namaz kiya hai?
Ans. Chand cheezon ka namaz main rahan zaroori hai:
1.  Ba wozoo aur zaroorat par ghusl ke saat ho.
2.  Libaas paak ho.
3.  Namaz ki jagah paak ho.
4.  Jagah aur libaas mubah ho.
5.  Jis chat ke niche namaz pardh raha hai wo bhi mubah ho.
6.  Mard ki sharmgah dhaki ho aur aurat ka poora jism dhaka rahna chahiye siwa’e chehra, haat ki hateli aur pair le takhno se niche tak.
7.  Ro ba Qibla hona zaroori hai.
8.  Ba taharat hona.
(Agar jama’at main ko’ee jagah rakh kar gaya hai to uski Ijazat ke baghair us jagah par namaz batil hai).

 
Wajibat-e-Namaz
Lesson Twelve

Q1. Wajibat-e-namaz kiya hain?
Ans. Panjagana namaz main 12 cheezain wajib hain:
1.  Niyat
2.  Takeeratul-Ahraam.
3.  Qara’at.
4.  Zikr.
5.  Qayam muttasil ba rokoo.
6.  Rokoo’.
7.  Sajda.
8.  Qayam muttasil ba rokoo.
9.  Tashah-hud.
10. Salam.
11. Tarteeb.
12. Mawalaat.

Q2. Wajibat-e-Namaz kitni tarhan ke hain?
Ans. Wajibat-e-Namaz do tarhan ke hain:
1.  Rukn: Wo wajibat hain jinko bhoole se ya jaan boojh kar namaz main choot ja’ain to namaz batil ho jayegi.
2.  Ghair-e-Rukn: Wo wajibat hain jo agar bhoole se choot ja’ain to namaz batil nahi hogi, haan agar jaan boojh kar chord diya jaye to namaz batil ho jayegi.

Q3. Namaz main rukn kitne hain?
Ans.  Paanch cheezain namaz main rukn hain?
1.  Niyat.
2.  Takbeeratul-Ahraam.
3.  Qayam muttasil ba rokoo.
4.  Rokoo.
5.  Har rakat ka 2 sajda.

Q4. Namaz main ghari-e-rukn wajibat kitne hain?
Ans. 6 cheezain namaz main ghair-e-rukn hain:
1.  Qara’at.
2.  Zikr.
3.  Tashah-hud.
4.  Salam.
5.  Tarteeb
6.  Mawalaat.

Q5. Namaz kaise pardhi jaati hai?
Ans. Agar namaz 4 rakati ho to use mandarja zail surat main pardha jayega:
Niyat aur takbeeratul-ahraam ke baad:
1.  Pahli aur doosri rakat main aik martaba Sura’e Al-Hamd aur phir uske baad ko’ee doosra surah.
2.  Doosra surah pardhne ke baad rokoo main jayega.
3.   Rokoo main ko’ee bhi zikr pardha jaa sakta hai lekin behtar hai key eh pardhe:
سبحان اللہ، 3 mataba ya phir  سبحان ربّیَ العظیم و بحمدہ aik artaba.
4.  Phir kharde ho kar kahega:
سمع اللہ لمن حمدہ۔
5.  Phir sajde main jayega aur kahega:
سبحان اللہ 3 martaba  ya phir kahega: سبحان ربّی الاعلیٰ و بحمدہ۔
6.  Pahli aur doosri rakat isi tarhan anjam dega aur phir doosri rakat main doosre sajde ke baad Tashah-hud pardhega:
اشھد ان لا الٰہ الا اللہ و حدہ لا شریک لہ و اشھد ان محمداً عبدہ و رسولہ۔ اللھم صلّ علیٰ محمد و آل محمد۔
7.  Teesri rakat main ya sura’e al-hamd pardha jayega ya phir 3 martaba Tasbeehat-e-Arba’a pardha jayega:
سبحان اللہ و الحمد للہ و لا الٰہ الا اللہ و اللہ اکبر
8.  Chothi rakat bhi teesri rakat ki manind pardhi jayegi.
9.  Chothi rakat main doosre sajde ke baad Tashah-hud pardha jayega aur phir use baad Salam pardha jayega, Salam mandarja zail surat main pardha jayega:
السلام علیک ایھا النبیّ و رحمة اللہ و برکاتہ
السلام علینا و علیٰ عباد اللہ الصالحین
السلام علیکم ورحمة اللہ وبرکاتہ



Wajibat-e-Namaz
Lesson Thirteen

Q1. Rokoo kaise kiya jayega?
Ans. Kamar se ghutne ki janib itna jhuke ghutno tak haat pohonch jaye. Albatta ghutno par haat ka rakhna zaroori nahi hai.

Q2. Sajda kaise kiya jayega?
Ans. Sajde main 7 cheezon ka zameen par hona zaroori hai:
1.  Peshani.
2.  Dono Hateliyan.
3.  Dono ghutne.
4.  Pair ke dono anguthe.

Q3. Agar ko’ee rokoo se pahle sajde main chala jaye to uski namaz ka kiya hukm hai?
Ans. Agar rokoo se pahle sajde main chala jaye to uski namaz batil hai. Haan agar sirf jhuka hai lekin sajde main nahi gaya hai to poori tarhan khardha ho kar phir sajde main jayega.

Q4. Kin cheezon par sajda sahi hai?
Ans. Mandarja Zail cheezon par sajda sahi hai:
1.  Pat-thar.
2.  Pukhta choona.
3.  Pukhta mitti ya pukhta eent.
4.  Plain kaghaz.
5.  Zameen se ugne wali un cheezon par jinhain khaya ya pahna na jaata ho.
Albatta Sajde ke liye sab se behtar cheez khak-e-Shifa (Turbat-e-Imam Husain A.S).

Q5. Agar sajde ya rokoo ke doraan jism hil jaye to kiya sajda sahi hai?
Ans. Rokoo aur Sajde ke doraan jism ka sabit rahna zaroori aur agar jaan boojh kar hila diya jaye to namaz batil hojati hai.

Q6. Mubtilaat-e-Namaz kiya hain?
Ans. 12 cheezain mubtelaat-e-namaz hain yaani in cheezon se namaz batil ho jayegi:
1.  Namaz ke doran namaz ki ko’ee shart fot ho jaye.
2.  Namaz ke doran wozoo batil ho jaye.
3.  Jaan boojh kar namaz main do harf se ziyada wala ko’ee lafz zaban se ada kare ya phir ko’ee aik harf wala aisa lafz zaban se ada kar jo ba mana ho.
4.  Sura’e Al-Hamd ke baad Ameen kahna.
5.  Namaz ke doran Qible se munharif hona.
6.  Namaz main haat baandh kar namaz pardhna.
7.  Namaz main jaan boojh kar awaz se hasna.
8.  Namaz main kisi dunyawi kaam ke liye buland awaz se rona.
9.  Namaz ke doran aise ko’ee kaam anjam dena jisse namaz ki surat bigardh rahi ho.
10. Namaz main aisa shak paish aajaye jo  namaz ko batil karde.
11. Namaz ke rukn ko kar chordh dena.
12. Ghair rukn ko jaan boojh kar chordh dena.

Q7. Agar namaz choot jaye to kiya karna chahiye?
Ans. Agarn namaz choot jaye to uski qaza wajib hai isi tarhan agar waqt par pardhna bhool jaye tab bhi qaza wajib hai.

 

Namaz-e-Musafir
Lesson Fourteen

Q1. Namaz-e-Qasr kis namaz ko kahte hain?
Ans. Agar ko’ee shakhs safar main ho to uski 4 rakati namazain 2 rakat main badal jaati hain, aur is namaz ko namaz-e-Qasr kahte hain.

Q2. Namaz ke qasr hone ki kiya shartain hain?
Ans. Namaz ke qasr hone ki 8 shartain hain:
1.  Safar 8 farsakh ka ho yaani poora safar raft-o-Aamad mila kar 42 kilo metre ka ho.
2.  Ibteda-e-safar se hi 8 farsakh jane ka irada kiya ho.
3.  Hadd-e-tarakh-khus par ki ho.
4.  4 farsakh yaani 21 km pohonchne se qabl raaste main hi safar se munsarif na howa ho.
5.  8 farsakh ke raaste main uska watan na ho aur ya phir aisi ko’ee jageh na ho jahan wo 10 rukne ka irada rakhta ho.
6.  Kar-e-Haraam ke liye safar na kiya ho.
7.  Khana ba dosh(Banjara) na ho.
8.  Uska pesha safar na ho, Jaise driver waghaira.

Q3. Hadd-e-Tarakh-khus kise kahte hain?
Ans. Shahar ya Gaon ke darwaza ko had-e-Tarakh-khus kahte hain. Aur agar shahar ke aakhir main darwaza na ho to shahar ya Gaon se itni door pohonch jay eke jahan se shahar ya gaon ki azan na suna’ee dey, aur ya phir wahan ke ghar aur diwarian nigahon se ojhal ho ja’ain, is jagah ko Hadd-e-Tarakh-khus kahte hain.

Q4. Namaz kab qasr hogi, ghar se safar par nikalte hi ya phir hadd-e-tarakh-khus paar karne ke baad?
Ans. Namaz hadd-e-tarakh-khus paar karne ke baad qasr hogi.

Q5. Jiska pesha safar hai kiya wo hamesha namaz poori pardhega?
Ans. Jiska pesha safar hai wo har safar main namaz qasr nahi pardhega, balke sirf nokri ke safar main namaz qasr hogi. Lekin agar apne ghar par das din ka qayam karle to us ke baad pahle safar main uski namaz qasr hogi, lekin uske baad phir poori ho jayegi. Isi tarhan agar wo shakhs kisi zaati safar par gaya ho to us main bhi uski namaz sharayat ke saat qasr hogi.

Q6. Kin jaghon par namaz poori hogi?
Ans. Mandar zail jaghon par namaz poori hogi:
1.  Watan main.
2.  Jahan par 10 din ke qayam ke Irade se jaye.
3.  Us jaghan par ke jahan 30 din tak tazab-zub ki halat main raha ho, 30 din tak to namaz qasr hogi lekin uske baad namazain poori hongi.

Q7. Watan kise kahte hain?
Ans.  Insaan ka watan:
1.  Wo jagha jisko insaan apne hamesha rahne ke liye intekhab karle .
2.  Waldain ka watan.
3.  Zoja ke liye uske shohar ka watan.
4.  Wo jaghe jahan baghair hamesha rahne ke irade se itne dino tak raha ho ke elaqe ke log use wahin ka rahne wala kahne lagain.

Q8. Agar pahle watan ko chord diya ho to kiya wahan namaz poori hogi ya qasr?
Ans. Agar kisi watan ko chord diya ho to phir wo watan ke Hukm main nahi hoga aur namaz wahan qasr hogi.

Q9. Kin jaghon par isaan qasr aur itmaam dono par ikhteyar rakhta hai?
Ans. Char jaghon par insaan ko dono par ikhteyar hai:
1.  Masjidul Haraam.
2.  Masjid-e-Nabawi (S.A.W).
3.  Masjid-e-Kufa.
4.  Haram-e-Imam Husain (A.S).
 


Namaz-e-Aayat aur Roza
Lesson Fifteen

Q1. Namaz-e-Aayat kab pardhi jaati hai?
Ans. Zal-zala, Chaand ya Suraj gahan, Aasman ka bilkul surkh hojana, Siyah ya Zard aandhi, aasman ka bilkul siyah hojana ya is tarhan ki aur ko’ee bhi kho dilane wali Aasmani Aafat ke baad namaz-e-Aayat wajib hai.

Q2. Namaz-e-Aayat kaise pardhte hain?
Ans. Is namaz ke 2 tariqe hain:
1.  Niyat aur takbeeratul Ahraam ke baad Al-Hamd aur uske baad ek sureh ko paanch Hisson main bat kar har hisse ke baad aik rokoo, aur behtar hai ke har doosre rokoo se qabl, qonoot bhi pardha jaye. Aur phir doosri rakat main bhi isi tarhan 5 rokoo aur phir uske baad, Sajda,  tashah-hud aur salam. Albatta Is tariqe main Al-Hamd har rakat main sirf aik bar hi pardha jayega.
2.  Niyat aur takeeratul Ahraam ke baad Al-Hamd aur phir ko’ee mukammal surah aur phir rokoo. Isi tarhan har rokoo ke baad Al-Hamd aur aik mukammal surah. Aur har doosre rokoo se qabl, qonoot Mustah hai. Aur doosri rakat bhi isi tarhan pardhi jayegi aur doosri rakat ke aakhri roko ke baad sajda tashah-hud aur salam.

Q3. Wajib Roze Kitne hain?
Ans.  Mah-e-Ramzan ka roza.             Qaza Roza.           Kaffare ka roza.
        Ijare ka roza.           Etekaaf ke teesre din ka roza.     Haj ki qurbani ke badle roza.        Nazr, ahad aur qasam ka roza.   Baap ka qaza roza barde bête par.

Q4. Kin cheezon se roza batil hota hai?
Ans. Mandarja Zail cheezon se roza batil hojata hai:
1.  Jaan boojh kar roze daar ko’ee cheez khale ya pile.
2.  Allah aur Rasool ki janib kisi baat ki jhooti nisbat dena.
3.  Ghobar-e-Ghaleez ka Halaq main lejana.
4.  Poore sar se paani main ghota lagana.
5.  Jaan boojh kar Qai karna.
6.  Jema karna.
7.  Istemna karna.
8.  Azan-e-sub tak jinabat ki halat main baqi rahna.
9.  Azan-e-Sub tak Haiz o nifaas ki halat main baqi rahna.

Q5. Agar ko’ee jaan boojh kar roza chorde to uspar kiya lazim hai?
Ans. Agar ko’ee jaan boojh kar roza chorde to us par aik roze ki qaza ke saat 3 main se ko’ee aik kaffara dega:
1.  60 roze rakhna, jis main 31 lagatar.
2.  60 Miskeenon ke khana khilana.
3.  Aik ghulam aazaad karna.

Q6. Agar ko’ee fe’l-e-haraam se roza batil kare to uska kiya kaffara hai?
Ans. Fe’l-e-Haraam se roza batil karne wale par kaffara-e-Jam’ hai yaani oopar bayaan hone wale tinon kaffare diga.

Q7. Roza kab se kab tak rakhna chahiye?
Ans. Subh-e-Sadiq se lekar azaan-e-Maghrib ke waqt tak roza wajib hai.