Af’aal-e-Khuda
Lesson Three
Q1. Kiya khuda apne kaamo main kisi se madad le sakta hai?
Ans. Hargiz nahi, Allah apne kaamo main kisi se madad nahi le sakta. Kiyon ki agar wo kisi ki madad lega to wo uska mohtaj ho jayega aur jo mohtaj ho wo khuda nahi ho sakta. Kiyon Allah har cheez par Qudrat rakhne wala hai.
Q2. Kiya Allah apne kaamo main khata kar sakta hai?
Ans. Hargiz nahi, Allah apne kaamo main kabhi bhi khata nahi kar sakta. Kiyon ki wo Hakeem hai aur Hakeem use kahte hain jiske saare kaam apne aap main mukammal aur be khata hon. Aur uske kaamo mian ko’ee naqs o aib na payajata ho. Jis tarhan Allah ki zaat main ko’ee naqs o aib se bari hai isi tarhan uske har amal aur fe’l bhi ha aib o naqs se paak aur bari hai.
Q3. Kiya Allah Jism rakh sakta hai?
Ans. Hargiz nahi, Allah jism nahi rakhta hai. Kiyon ki jism main payi jane waali tamam khasiyatain aisi hain jo jism ko fana aur nabood kar deti hain, Jaise:
1. Jism makan o zaman ka mohtaj hai.
2. Jism ko zinda rahne ke liyeh, Khana aur peena chahiye.
3. Jism par sardi aur garmi ka asar hota hai.
4. Jism badalta hai, banta hai bigardta hai.
5. Jism kisi cheez se nadeek hota hai aur kisi cheez se door.
6. Jism fasid hota hai.
Allah tabaraka wo ta’ala in tamam oyoob se paak hai aur wo na kisi ka mohtaj hai aur na kisi se door hai aur na kisi se nazdeek. Wo har aik se nazdeek hai aur har aik ke paak hai. Wo na kabhi fana hofa aur na us main ko’ee tabdeeli aur badala’o aayega. Wo zaman o makan se beniyaz hai. Wo in sab ka khaliq hai.
Aur sab se aham baat to yeh hai ke wo khud jism ka khaliq hai, yaani pahle wo tha lekin jism nahi tha. Khuda nain jab saari ka’enat ko banaya tab us waqt jism ko bhi banaya.
Q4. Kiya aisa nahi ho sakta ke dunya ko do khuda nain mil kar banaya ho?
Ans. Hargiz nahi, Kiyon agar dunya ko do khuda’on nain mil kar banaya hoga to yaqeenan do aik doosre se mashwara kar ke ka’enat ka charkha chelate honge. Is ka matlab yeh hai ke dono aik doosre se mashware ke Mohtaj hai. Aur khuda kabhi mohtaj nahi ho sakta.
Q5. Kiya dunya ke do alag alag khuda ho sakte hain?
Ans. Hargiz nahi, Agar dunya ke do alag khuda hote to yaqeena doosre khuda ka ko’ee doosra nizam hota uske rasool aate. Kam az kam is ka’enat main do mukhtalif nizam mojood hota. Jab ke ham daikhte hain ke is dunya main aik hi nizam qa’im hai aur aik hi system ke tahat saari dunya chal rahi hai. Lehaza is ka’enat main aik se ziyada khuda nahi hain. Aur ho bhi nahi sakte hain.
Q6. Agar is ka’enat main aik se ziyada khuda hota to kiya hota?
Ans. Agar is ka’enat main aik se ziyada khuda hote to yeh ka’enat tabah o barbad ho jati, kiyon ki dono khuda apni khuda’ee chelate aur aik agar din chata to mumkin tha ke doosra raat chahta aur isi tarhan ke ikhtelafaat hoto aur dunya tabah hojati.