Wozoo (Part One)
Lesson Six
Q1. Wozoo kaise kiya jaata hai?
Ans. Sab se pahle wozoo ke aa’za par lagi nijasat ya ko-ee rang waghaira ko hataya jayega aur phir us ke baad mandarja zail surat main wozoo kiya jayega:
Wozoo ki niyat ke baad:
1. Teen martaba haaton ko kala’ee se ungliyon ke sire tak dhoya jayega.
2. Teen dafa kullee ki jayegi.
3. Teen dafa Naak main paani dala jayega.
(Yeh teen cheezain wozoo main mustahab hain)
4. Do baar chehr ko dhoya jayega:
Lamba’ee main baal ugne ki jagah se thuddi tak aur chorda’ee main anguth aur bichh wali ungli ke darmiyan main aane wale chehre ke hisse ko dhoya jayega. Albatta ehteyat yeh hai ke chehre ki is miqdar se zara ziyada hi dhoya jaye taki wajib miqdar ke dhoye jane ka yaqeen ho jaye.
(Albatta chehre ka pahli baar dhona wajib hai aur doosri baar dhona mustahab hai aur teesri dafa dhone se wozoo batil ho jayega)
5. Do baar dono haton ka dhona, Pahle da’ain hat ko aur phir ba’ain haat ko:
Kohni se lekar ungliyon ke sire tak oopar se niche ki janib dhonya jayega.
Pahli baar poori tarhan dhona wajib doosri dafa mustahab aur teesri dafa haram hai.
6. Haton ko dhone ke baad hateli main bachi rotoobat se sar ke agle hisse ka balon ke ungne ki jagah tak masah karna. (Albatta maseh main zaroori yeh hai ki alag se ko’ee rotoobat na li jaye balke haton ko dhone ke baad ki bachi ho’ee rotoobat se hi masah kiya jayega).
7. Sar ke maseh ke baad haaton ki bachi ho’ee rotoobat se pahle dahene haat se dahene pair ka niche se oopar ki janib aur phir ba’ain haat se ba’ain pair ka oopar se niche ki janib masah karna.
8. Wozoo main tarteeb aur mawalaat bhi zoroori hai.
Q2. Agar aa’za’eh wozoo gile hon to ki wozoo sahi hoga?
Ans. Agar dhone wale aa’za gile hon to un par wozoo karne main ko-ee haraj nahi hai lekin masah ke aa’za ka khushk hona zaroori hai.
Q3. Agar haat main ko’ee rang ya roshna’ee lagi ho to kiay wozoo sahi ho payega?
Ans. Wozoo se qabl wajib hai ke aa’za’e wozoo par mojood har us cheez ko hataya jaye jo paani ke pohonchne ke liye rukawat ka sabab banain. Jaise roshana’ee, chiknahat, rang waghaira.
Q4. Kin cheezon ke liye wozoo wajib hai?
Ans. Mandarja Zail cheezon ke liye wozoo wajib hai:
1. Wajib namazon ko ada karne ke liye.
2. Khana-e-Ka’ba ke tawaf ke liye.
3. Namaz main bhoole howe tashah-hud ya sajde ko baja lane keliye.
4. Nazr, Ahad, ya qasam ka wozoo ho.
5. Quran majeed ke horoof ya harakat ko choone ke liye.
Q5. Kin cheezon se wozoo batil hojata hai?
Ans. Mandarja zail cheezon se wozoo batil hojata hai:
1. Peshab aur pakhana.
2. Aisi neend jo aakh aur kaan par ghalib aa jaye.
3. Reeh ka kharij hona.
4. Behosh hojana.
5. Aisi cheez ka istemaal jo aql ko za’el karde.
6. Wo kaam jisse ghusl wajib jo jaye use wozoo bhi batil hojayega.
Q6. Wozoo kitn tarhan ka hota hai?
Ans. Wozoo do tarhan ka hota hai:
1. Tarteebi: Wo wozoo hai jismain alag se paani lekar wozn oo kiya jaata hai.
2. Irtemaasi: Wo wozoo hai jismain kisi bartan ya hoz main haat dobo kar wozoo kiya jaata hai.
Q7. Wozoo ka paani kaise hona chahiye?
Ans. Wozoo ke paani ke liye zaroori hai ki wo:
1. Paak ho.
2. Mutlaq ho.
3. Mubah ho aur Ghasbi na ho aur jis jagah wozoo kar raha hai wo bhi paak ho.
Wozoo (Wozoo-e-Jabira) (Part Two)
Lesson Seven
Q1. Jabira kise kahte hain?
Ans. Wozoo ke aa’za par ko’ee zakhm, marham ya patti lagi ho to use jabira kahte hain.
Q2. Wozoo-e-Jabira kis wozoo ko kahte hain?
Ans. Agar wozoo ke kis az’w par ko’ee zakhm ho ya patti ya ko’ee dawa’ee lagi ho aur uspar paani pohchana mumkin na ho aur ya phir nuqsaan de ho to use ke atraaf ke hissi ko dhoya jayega aur us par haat phera jayega, is tarhan ke wozoo ko jabira kahte hain.
Q3. Wozoo-e-Jabira kaise kiya jaata hai?
Ans. Agar jabira khol kar wozoo kiya jaasakta to jabira nikal wozoo karna wajib hai. Aur agar jabira nikalna mumkin na ho to aisi surat main aa’za ka wo hissa jo dhoya jaa sakta ho us par paani dala jayega aur phir jabire par haat phaira jayega. Aur agar uspar haat phairna uske liye zarar ka ba’es ho to uspar ko’ee paak kaprda rakh kar uspar haat phair diya jayega.
Q4. Agar jabira najis ho to wozoo kaise kiya jayega?
Ans. Agar jabira najis ho to jabira ke Charon taraf dhoya jayega aur phir jabira ke oopar ko’ee paak kaprda rakh kar us par haat phair diya jayega.
Q5. Agar maseh ki jagah par jabira ho to masah kaise kiya jayega?
Ans. Agar jabira nikalna mumkin ho aur maseh ki jagah paak ho to jabira nikal kar masah kiya jayega. Aur agar jabira nikalna mumkin na ho to usi jabire ke oopar paak hone ki surat main haat phair liya jayega. Aur agar najis hai to us par ko’ee kaprda rakh kar uspar masah kiya jayega.
Albatta maseh ki aa’za par jabira hone ki surat main jabire wala masah karne ke saat hi saat ehtiyat ki bina par tayammum bhi kiya jayega.
Q6. Jis shakhs ka aik ya dono haat ya pair na ho wo kaise wozoo karega?
Ans. Jis Shakhs ka aik haat ya aik pair ya phir dono haat aur dono pair nahon to kate howe haat aur pair ka masah saqit hai. Dono haat kate hone ki surat main chehre ko paani main dubo kar dho’ega ya phir kisi ko wozoo karane ke liye ajeer banayega. Aur agar dono pair Kate hon to pair ka masah saqit hai aur sirf sar ka masah karega, aur uska wozoo sahi hoga.